Aayino'n Mei'n Aks Na Ho Tou Hairat Rehti Hai,
Jaisay Khaali Aankho'n Mein Bhi Wahshat Rehti Hai.
Har Dam Dunya Kay Hangamay Ghairay Rakhtay Thay,
Jab Say Tera Dhyaan Lagay Hai Fursat Rehti Hai.
Karni Hai Tou Khul Kay Karo Inkaar-E-Wafa Ki Baat,
Bat Adhoori Reh Jaaye Tou Hasrat Rehti Hai.
Shehr-E-Sukhan Mei'n Aisa Kuch Kar, Izzat Ban Jaaye,
Sab Kuch Mitti Ho Jata Hai, Izzat Rehti Hai.
Bantay Bantay Dhay Jaati Hai Dil Ki Har Tameer,
Khuaahish Kay Behroop Mei'n Shaayad Qismat Rehti Hai.
Saaye Laraztay Rehtay Hain Shehro'n Ki Galiy'on Mei'n,
Rehtay Thay Insaan Jahaa'n Ab Dehshat Rehti Hai.
Mosam Koi Khushboo Lay Kar Aatay Jaatay Hain,
Kia Kia Ham Ko Raat Gaye Tak Wahshat Rehti Hai.
Dhyaan Mei'n Maila Sa Lagta Hai Beeti Yaado'n Ka,
Aksar Us Kay Gham Say Dil Ki Sohbat Rehti Hai.
Phoolo'n Ki Takhti Par Jesay Rango'n Ki Tahreer,
Loh-E-Sukhan Par Aisay ''Amjad'' Shohrat Rehti Hai.
~Amjad Islam Amjad
0 comments:
Post a Comment