Wahshat Thi Hum Thay Saaya-E-Deewaar-E-Yaar Tha


Wahshat Thi Hum Thay Saaya-E-Deewaar-E-Yaar Tha,
Yaa Ye Kaho K Sar Pe Koi Jin Sawaar Tha.


Bigra Chaman Mein Kal Teray Wahshi Ka Jab Mizaaj,
Jhonka Naseem Ka Bhi Usay Naa-Gawaar Tha.

Laalay Ka Daagh Dekh K Chitwan Badal Gayi,

Taiwar Se Saaf Raaz-E-Junoo'n Aashkaar Tha.

Pehle Tou Aankhen Phaar K Dekha Idhar Udhar,
Daaman Phir Ik Ishaaray Me Bas Taar Taar Tha.

Allah Ray Torr Neechi Nigaahon K Teer Ka,
Uff Bhi Na Karnay Paaye Thay Or Dil K Paar Tha.

Thokar Jo Aaj Khaayi Hai Us Mast-E-Naaz Ne,
Barham Hai Ab K Beech Me Kis Ka Mazaar Tha.

Nayrang-E-Husn-O-Ishq Ki Wo Aakhri Bahaar,
Turbat Thi Meri Or Koi Ashk Baar Tha.

Jhuk Jhuk K Dekhtaa Hai Falak Aaj Tak Usay,
Jis Sarzamee'n Pe Mera Nishaan-E-Mazaar Tha.

Saahil K Paas YAAS Nay Himmat Bhi Haar Di,
Kuch Haath Paao'n Maarta Zaalim Tou Paar Tha.

~Yaas Yagana Changezi

0 comments: