Hijr Kartay Ya Koi Wasl Guzaara Kartay

Hijr Kartay Ya Koi Wasl Guzaara Kartay,
Ham Ba-Har-Haal Basar Khuaab Tumhaara Kartay.

Aik Aisi Bhi Ghari Ishq Mein Aayi Thi Kay Ham,
Khaak Ko Haath Lagaatay Tou Sitaara Kartay.

Ab Tou Mil Jaao Hamein Tum Kay Tumhaari Khaatir,
Itni Door Aa Gaye Dunya Say Kinaara Kartay.

Mahv-E-Aaraa'ish-E-Rukh Hai Wo Qayaamat Sar-E-Baam,
Aankh Agar Aaina Hoti Tou Nazaara Kartay.

Aik Chehray Mein Tou Mumkin Nahi Itnay Chehray,
Kis Say Kartay Jo Koi Ishq Dubaraa Kartay.

Jab Hai Ye Khaana-E-Dil Aap Ki Khalwat Kay Liye,
Phir Koi Aaye Yahaan, Kaisay Gawara Kartay?

Kon Rakhta Hai Andhairay Mein Diya, Aankh Mein Khuaab,
Teri Jaanib Hi Teray Log Ishaaraa Kartay.

Zarf-E-Aaina Kahaan Aur Tera Husn Kahan?
Ham Tere Chehray Say Aa'ina Sanwaara Kartay.

~Obaidullah Aleem

0 comments: