Jahaan Mein Haali Kisi Pe Apnay Siwaa Bharosa Na Kijye Ga

Jahaan Mein Haali Kisi Pe Apnay Siwaa Bharosa Na Kijye Ga,
Ye Bhaid Hai Apni Zindagi Ka Bas Is Kaa Charcha Na Kijye Ga.

Ho Laakh Ghairon Ka Ghair Koi Na Jaanta Us Ko Ghair Hargiz,
Jo Apna Saaya Bhi Ho Tou Us Ko Tasawwur Apna Na Kijye Ga.

Isi Mein Hai Khair Hazrat-E-Dil Kay Yaar Bhoola Huwa Hai Ham Ko,
Karay Wo Yaad, Is Ki Bhool Kar Bhi Kabhi Tamanna Na Kijye Ga.

Tumhara Tha Dost-Daar Haali Or Apna Bay-Gaana Ka Raza Jo
Sulook Us Say Kiye Ye Tum Nay Tou Ham Say Kia Kia Na Kijye Ga.

~Altaf Hussain Hali

0 comments: