Kabay Ki Hai Hawas Kabhi Koo-E-Butaa’n Ki Hai


Kabay Ki Hai Hawas Kabhi Koo-E-Butaa’n Ki Hai,
Mujh Ko Khabar Nahi Meri Mitti Kahaa’n Ki Hai.


Sun Kar Mera Fasaana Unhain Lutf Aagay,
Suntaa Hoon Ab Kay Roz Talab Qissa Khuaa’n Ki Hai.

Paighaambar Ki Baat Par Aapas Mein Ranj Kia?
Meri Zubaa’n Ki Hai Na Tumhaari Zubaa’n Ki Hai.

Kuch Taazgi Ho Lazzat-E-Aazaar Kay Liye,
Har Dam Mujhay Talaash Naye Aasmaa’n Ki Hai.

Jaa’n-Bar Bhi Ho Gaye Hain Bahut Mujh Say Neem Jaa’n,
Kia Gham Hai Ay Tabeeb Poori Wahaa’n Ki Hai.

Hasrat Baras Rahi Hai Hamaaray Mazaar Par,
Kehtay Sab Ye Qabr Kisi No-Jawaa’n Ki Hai.

Waqt-E-Khiraam-E-Naaz Dikhaa Do Juda Juda,
Ye Chaal Hashr Ki Ye Rawish Aasmaa’n Ki Hai.

Fursat Kahaa’n Kay Ham Say Kisi Waqt Tou Milay,
Din Ghair Ka Hai Raat Kisi Paasbaa’n Ki Hai.

Qaasid Ki Guftugoo Say Tasalli Ho Kis Tarah,
Chhupti Nahi Wo Baat Jo Teri Zubaa’n Ki Hai.

Jor-E-Raqeeb-O-Zulm-E-Falak Ka Nahi Khayaal,
Tashweesh Aik Khaatir-E-Naa-Mehrbaa’n Ki Hai.

Sun Kar Meraa Fasaana-E-Gham Us Nay Ye Kahaa,
Ho Jaaye Jhoot Such, Yehi Khoobi Bayaa’n Ki Hai.

Daaman Sanbhaal, Baadh Kamar, Aastee’n Charhaa,
Khanjar Nikaal Dil Mein Agar Imtihaa’n Ki Hai.

Har Har Nafas Mein Dil Say Nikalnay Laga Ghubaar,
Kia Jaanay Gard-E-Raah Ye Kis Kaarwaa’n Ki Hai.

Kiun-Kar Na Aatay Khuld Say Aadam Zameen Par,
Mozoo’n Wahee’n Wo Khoob Hai Jo Suntay Jahaa’n Ki Hai.

Taqdeer Say Ye Pooch Rahaa Hoo’n Kay Ishq Mein,
Tadbeer Koi Bhi Sitam-E-Naaghaa’n Ki Hai.

Urdu Hai Jis Kaa Naam Ham Hi Jaanaty Hain “Daagh”,
Hindoostaa’n Mein Dhoom Hamaari Zubaa’n Ki Hai.

~Daagh Dehlvi

0 comments: