Hui Taakheer Tou Kuch Baa'is-E-Takheer Bhi Thaa



Hui Taakheer Tou Kuch Baa'is-E-Takheer Bhi Thaa, 
Aap Aatay Thay, Magar Koi Inaa’n Geer Bhi Thaa. 


Tum Se Bay-Jaa Hai, Mujhay Apni Tabaahi Ka Gila, 
Is Mein Kuch Shaaiba-E-Khoobi-E-Taqdeer Bhi Thaa. 

Tu Mjhay Bhol Gya Ho, To Pata Batlaa Doon!
Kabhi Fitraak Mein Teray, Koi Nakhcheer Bhi Thaa?

Qaid Mein Hai Teray Wahshi Ko Wohi Zulf Ki Yaad,

Haan Kuch Ik Ranj-E-Giraan Baari-E-Zanjeer Bhi Thaa.

Bijli Ik Kond Gayi Aankhon Kay Aagay Tou Kia,
Baat Krtay, Kay Main Lub Tishna-E-Tqreer Bhi Thaa.

Yousuf Usko Kahoon Aur Kuch Na Kahay, Khair Hoi,
Gar Bigar Baithay Tou Main Laaiq-E-Tazeer Bhi Thaa

Dekh Kar Ghair Ko, Ho Kiun Na Kaleja Thanda,
Naala Krta Tha, Waly Taalib-E-Taaseer Bhi Thaa.

Paishay Mein Aib Nahi, Rakhiye Na Far'haad Ko Naam,
Hum Hi Aashufta Siro’n Mein Wo Jawaan-Meer Bhi Thaa.

Hum Thay Marnay Ko Khary, Paas Na Aayaa, Na Saahi,
Aakhir Us Shokh Kay Tarkash Mein Koi Teer Bhi Thaa.

Pakray Jaatay Hain Farishton Kay Likhay Par Naa Haq,
Aadmi Koi Hamaaraa Dam-E-Tahreer Bhi Thaa?

Raikhtay K Tum'hi Ustaad Nahi Ho “Ghaalib”,
Kehtay Hain, Aglay Zamaanay Mein Koi “Meer” Bhi Thaa.

~Mirza Ghalib

0 comments: