Kabhi
Raqs-E-Shaam-E-Bahaar Mei'n Usay Dekhtay,
Kabhi
Khuaahisho'n Kay Ghubaar Mei'n Usay Dekhtay.
Magar
Aik Najm-E-Sahar-Numa Kahee'n Jaagta,
Teray
Hijr Ki Shab-E-Taar Mei'n Usay Dekhtay.
Wo
Tha Aik Aks-E-Gureez Paa, So Nahi Ruka,
Katti
Umr Dast-E-Diyaar Mei'n Usay Dekhtay.
Wo
Jo Bazm Mei'n Raha Bay-Khabar, Koi Or Tha,
Shab-E-Wasl
Meray Kinaar Mei'n Usay Dekhtay.
Jo
Azal Ki Loh Pay Naqsh Tha, Wohi Aks Tha,
Kabhi
Ap Qarya-E-Daar Mei'n Usay Dekhtay.
Wo Jo
Kainat Ka Noor Tha, Nahi Door Tha,
Magar
Apnay Qurb-O-Jawaar Mei'n Usay Dekhtay.
Yahi
Ab Jo Hai Yaha'n Naghma-Khuaa'n, Yahi Khush Bayaa'n,
Kisi
Sham Koo-E-Nigaar Mei'n Usay Dekhtay.
~Amjad Islam Amjad
0 comments:
Post a Comment