Dil Hijr Kay Dard Say Bojhal Hai, Ab Aan Milo Tou Behtar Ho


Dil Hijr Kay Dard Say Bojhal Hai, Ab Aan Milo Tou Behtar Ho,
Is Baat Say Ham Ko Kia Matlab, Ye Kesay Ho, Ye Kiun-Kar Ho.


Ek Bheek Kay Dono Kaasay Hain, Ek Piyaas Kay Dono Piyasay Hain,
Ham Khaiti Hain, Tum Baadal Ho, Ham Nadiya Hain, Tum Saagar Ho.

Ye Dil Hai Jaltay Kay Seenay Mei'n, Ek Dard Ka Phora Allhar Sa,
Na Guppt Rahay Na Phoot Bahy, Koi Marham Ho, Koi Nishtar Ho.

Ham Sanjh Samay Ki Chhaaya Hain, Tum Charhti Raat Ki Chandrma,
Ham Jaatay Hain, Tum Aatay Ho, Phir Mail Ki Soorat Kiyun-Kar Ho.

Ab Husn Ka Rutba Aali Hai, Ab Husn Say Sehra Khaali Hai,
Chal Basti Mei’n Banjaara Ban, Chal Nagri Mei’n Sodaagar Ho.

Wo Raatain Chaand Kay Sath Gayin, Wo Baatain Chaand Kay Sath Gayin,
Ab Sukh Kay Sapnay Kiaa Dekhain, Jab Dukh Ka Soraj Sar Par Ho.

Ab Insha Ji Ko Bulana Kiaa, Ab Piyaar Kay Deep Jalaana Kia,
Jab Dhop Or Chhaaya Aik Say Hon, Jab Din Or Raat Baraaber Ho.

~Ibn-E-Insha

0 comments: