Naqsh-E-Faryadi Hai Kis Ki Shokhi-E-Tahrir Ka,
Kagzi Hai Pairahan Har Paikar-E-Taswir Ka.
Kaaw-Kawe Sakht-Jaani Haye Tanhai Na Pooch,
Subh Karna Sham Ka Lana Hai Joo-E-Shir Ka.
Jazba-E-Be-Ikhtiyar-E-Shauq Dekha Chahiye,
Seena-E-Shamshir Se Baahar Hai Dam Shamshir Ka.
Agahi Daam-E-Shunidan Jis Qadar Chahe Bichaye,
Mudd’aa Anqa Hai Apne Alam-E-Taqrir Ka.
Bas K Hun 'Ghalib' Asiri Mein Bhi Atish Zair-E-Pa,
Moo-E-Atish-Deeda Hai Halqa Meri Zanjir Ka.
~Mirza Ghalib
0 comments:
Post a Comment