Junoo’n Garm Intezaar-O-Naala Baytaabi Kamand Aaya,
Suweda Taa Ba-Lab Zanjir Say Dood-E-Sipand Aaya.
Mah-E-Akhtar Fishaa’n Ki Behr-E-Istiqbaal Aankho’n Say,
Tamaasha Kishwar-E-Aayina Mein Aayina Band Aaya.
Taghaaful, Bad-Gumaani, Balke Meri Sakht Jaani Hai,
Nigaah-E-Bay-Hijaab-E-Naaz Ko Beem-E-Guzand Aaya.
Fizaa-E-Khandah-E-Gul Tang-O-Zouq-E-Aish Bay-Parwa,
Faraaghat Gaah-E-Aaghosh-E-Widaa-E-Dil Pasand Aaya.
Adam Hai Khair Khuaah-E-Jalwa Ko Zindaan-E-Baytaabi,
Khiraam-E-Naaz Barq-E-Khirman-E-Sa’iy-E-Pasand Aaya.
Jaraahat Tohfa, Almas Amughaa’n, Daagh-E-Jigar Hadya,
Mubaarak-Baad “Asad”, Ghamkhuaar-E-Jaan-E-Dardmand Aaya
~Mirza Ghalib
0 comments:
Post a Comment