Ham Kia Karen Agar Na Teri Aarzoo Karen



Kia Kehiye Aarzoo-E-Dil-E-Mubtala Hai Kia, 
Jab Ye Khabar Bhi Ho Kay Wo Rangee'n Ada Hai Kia.


Kaafi Hain Meray Ba'd Pashemaaniyaa'n Teri!
Mei'n Kushta-E-Wafa Hoon Mera Khoo'n Bahaa Hai Kia.

Waqt-E-Karam Na Poochay Ga Lutf-E-Ameem-E-Yaar,
Rind-E-Kharaab Haal Hai Kia Paarsaa Hai Kia.

Dekho Jisay Hai Raah-E-Fana Ki Taraf Rawaa'n,
Teray Mahal-Saraa Ka Yehi Raastaa Hai Kia.

Ham Kia Karen Agar Na Teri Aarzoo Karen,
Dunya Mei'n Or Koi Bhi Teray Siwa Hai Kia?

Yoo'n Shukr Jor Kartay Hain Teray Ada Shanaas,
Goya Wo Jantay Hi Nahi Hain Gila Hai Kia.

Ronay Lagay Abhi Say Kay Hai Ibtidaa-E-Haal,
Tum Nay Abhi Fasaana-E-"Hasrat" Suna Hai Kia.


~Hasrat Mohani

0 comments: