Aik Hai Meray Hazar Or Safar Ki Soorat,
Ghar Mein Hoon Ghar Say Nikal Kar Bhi Nazar Ki Soorat.
Chashm-E-Ush'shaaq Say Pinhaa'n Ho Nazar Ki Soorat,
Wasl Say Jaan Churaatay Ho Kamar Ki Soorat.
Hoon Wo Bulbul Kay Jo Sayyaad Nay Kaatay Meray Parr,
Gir Gaye Phool Har Ek Shaakh Say Par Ki Soorat.
Teray Chehray Ki Malaahat Jo Falak Nay Dekhi,
Phhatt Gaya Mehr Say Dil Sheer-E-Sahar Ki Soorat.
Jhaank Kar Rozan-E-Deewaar Say Wo Tou Bhaagay,
Reh Gaya Khol Kay Aaghosh Mein Dar Ki Soorat.
Taigh Garden Pe Kay Hai Sang Par Aahein Dam-E-Zibh,
Khoon Kay Qatray Nikaltay Hain Sharar Ki Soorat.
Kon Kehta Hai Milay Khaak Mein Aansu Meray,
Chhup Rahi Gard Yateemi Mein Guhar Ki Soorat.
Nahi Aata Hai Nazar, Al-Madad Ay Khizr-E-Ajal,
Jaada-E-Raah-E-Adam Moo-E-Kamar Ki Soorat.
Parr Gayin Kuch Jo Meray Garm Lahu Ki Chheentein,
Urr Gayi Johar-E-Shamsheer Sharar Ki Soorat.
Qabr Hi Waadi-E-Ghurbat Mein Banay Gi Ek Din,
Or Koi Nazar Aati Nahi Ghar Ki Soorat.
Khushk Sairo'n Tan-E-Shaa'ir Ka Lahu Hota Hai,
Tab Nazar Aati Hai Ek Misra-E-Tarr Ki Soorat.
Aafat Aaghaaz-E-Jawaani Hi Mein Aayi Mujh Par,
Bujh Gaya Shaam Say Dil Shamma'-E-Sahar Ki Soorat.
Jalwa-Gar Baam Pe Wo Mehr-E-Laqaa Hai Shaayad,
Aaj Khursheed Say Milti Hai Qamar Ki Soorat.
Dahan-E-Yaar Ki Toseef Karri Manzil Hai,
Chust Mazmoon Ki Bandish Ho Kamar Ki Soorat.
Nau-Bahaar-E-Chaman-E-Gham Hai Ajab Roz-Afzoo'n,
Barhti Jaati Hai Girah Dil Ki Samar Ki Soorat.
Hoon Bagolay Ki Tarah Say Mein Saraapa Gardish,
Raat Din Paao'n Bhi Chakkar Mein Hain Sar Ki Soorat.
Bearish-E-Sang-E-Hawaadis Na Ho Kis Tarh ''Ameer''
Aah Hai Shakl-E-Shajar, Ashk Samar Ki Soorat.
~Ameer Meenai
0 comments:
Post a Comment