Wo Buto'n Nay Daalay Hai'n Waswasay Kay Dilo'n Say Khof-E-Khudaa Gaya


Wo Buto'n Nay Daalay Hai'n Waswasay Kay Dilo'n Say Khof-E-Khudaa Gaya,
Wo Pari Hain Roz Qayaamatei'n Kay Khayaal-E-Roz-E-Jaza Gaya.


Jo Nafas Tha Khaar-E-Gulo Bana Jo Uthay Tou Haath Lahu Huay,
Wo Nishaat-E-Aah-E-Sahar Gayi, Wo Waqaar-E-Dast-E-Dua Gaya.

Na Wo Rang Fasl-E-Bahaar Ka Na Rawish Wo Abr –E-Bahar Ki,
Jis Ada Say Yar Thay Aashna Wo Mizaj-E-Bad-E-Saba Gaya,

Jo Talab Pay Ahd-E-Wafa Kia Tou Wo Aabroo-E-Wafa Gayi,
Sar-E-Aam Jab Hoay Muddai, To Sawaab-E-Sadq-O-Safa Gaya.

Abhi Baadbaan Ko Teh Rakho Abhi Muztarib Hay Rukh-E-Hawa,
Kisi Raastay Mei'n Hay Muntazir Wo Sukoo'n Jo Aa Kay Chala Gaya.

~Faiz Ahmad Faiz

0 comments: