Phool Thay, Baadal Bhi Tha, Or Wo Hasee'n Soorat Bhi Thi



Phool Thay, Baadal Bhi Tha, Or Wo Hasee'n Soorat Bhi Thi,
Dil Mein Lekin Or Hi Ek Shakl Ki Hasrat Bhi Thi.


Jo Hawa Mein Ghar Banaaye Kaash Koi Dekhta,
Dasht Mein Rahtay Thay Par Ta'meer Ki Aadat Bhi Thi.

Keh Gaya Mein Saamnay Us Kay Jo Dil Ka Mudda'aa,
Kuch Tou Mausam Bhi Ajab Tha Kuch Meri Himmat Bhi Thi.

Ajnabi Shahron Mein Rahtay Umr Saari Katt Gayi,
Go Zara Say Faslay Par Ghar Ki Har Raahat Bhi Thi.

Kia Qayaamat Hai "Munir" Ab Yaad Bhi Atay Nahi,
Wo Puranay Aashna Jin Se Hamein Ulfat Bhi Thi.

~Munir Niazi

0 comments: