Guzraa Hoon Jis Gali Say Bhi Pathar Lagay Mujhay


Guzraa Hoon Jis Gali Say Bhi Pathar Lagay Mujhay,
Aisay Bhi Kia Thay La'l-O-Jawaahar Lagay Mujhay.


Lo Ho Chuki Shifaa Kay Mudawaa-E-Dard-E-Dil,
Ab Teri Dastaras Say Bhi Baahar Lagay Mujhay.

Tarsaa Diyaa Hai Abr-E-Guraizaa'n Nay Is Qadar,
Barsay Jo Boond Bhi Tou Samandar Lagay Mujhay.

Thaamay Raho Gay Jism Ki Deewaar Taabkay,
Ye Zalzala Tou Rooh Kay Andar Lagay Mujhay.

Gar Roshni Yehi Hai Tou Ay Bad-Naseeb Shehr,
Ab Teeragi Hi Tera Muqaddar Lagay Mujhay.

Manzil Kahaa'n Ki Zaad-E-Safar Ko Bachaaiyo!
Ab Rahzano'n Ki Niy'yat-E-Rahbar Lagay Mujhay.

Wo Mutma'in Kay Sab Ki Zubaa'n Kaat Di Gayi,
Aisi Khamoshiyo'n Say Magar Darr Lagay Mujhay.

Wo Qaht-E-Harf-E-Haq Hai Kay Is Ahd Mei'n ''Faraz'',
Khud Sa Gunaah'gaar Payambar Lagay Mujhay.

~Ahmad Faraz

0 comments: