Hai Duaa Yaad Magar Harf-E-Duaa Yaad Nahi


Hai Duaa Yaad Magar Harf-E-Duaa Yaad Nahi, 
Mere Nagmaat Ko Andaaz-E-Nawaa Yaad Nahi.


Ham Ne Jin Ke Liye Raaho'n Mei'n Bichhayaa Tha Lahu,
Ham Se Kahtay Hai'n Wohi Ahd-E-Wafaa Yaad Nahi,

Zindagi Jabr-E-Musalasal Ki Tarah Kaatii Hai, 
Jaane Kis Jurm Ki Paayi Hai Sazaa Yaad Nahi.

Mai'n Ne Palko'n Se Dar-E-Yaar Pe Dastak Di Hai,
Mai'n Wo Saa'il Ho'n Jisay Koi Sadaa Yaad Nahi.

Kaise Bhar Aayi'n Sar-E-Shaam Kisi Ki Aankhei'n, 
Kaise Tharraayi Charaagho 'n Ki Ziyaa Yaad Nahi.

Sirf Dhundhlaaye Sitaaron Ki Chamak Dekhi Hai, 
Kab Hua Kaun Hua Kis Se Khafaa Yaad Nahi.

Aao Ik Sajdaa Karen Aalam-E-Madhoshii Mei'n,
Log Kahtay Hai'n Kay "Saghar" Ko Khudaa Yaad Nahi.


~Saghar Siddiqui

0 comments: