Koi Sachay Khuaab Dikhata Hai, Par Jaanay Kon Dikhaata Hai,
Mujhay Saari Raat Jagaata Hai, Par Jaanay Kon Jagaata Hai.
Koi Darya Hai Jis Ki Lehrein Mujhay Khainch Rahi Hain, Or Koi,
Meri Jaanib Haath Barhaata Hai, Par Jaanay Kon Barhaata Hai.
Kabhi Jaa-E-Namaaz Ki Baanhon Mein, Kabhi Hamd Durood Ki Chhaaon Mein,
Koi Zaar-O-Zaar Rulaata Hai, Par Jaanay Kon Rulaata Hai.
Wohi Bay-Khabari, Wohi Jeewan Ka Bay-Ant Safar, Or Aisay Mein,
Koi Apni Yaad Dilaata Hai, Par Jaanay Kon Dilaata Hai.
Kaheen Is Maloom Si Dunya Mein Koi Naa-Maloom Si Dunya Hai,
Koi Us Ka Bhaid Bataata Hai, Par Jaanay Kon Bataata Hai.
Meri Tanhaai Mein Aik Nayi Tanhaai Hai, Jis Kay Rangon Mein,
Koi Apna Rang Milaata Hai, Par Jaanay Kon Milaata Hai.
Koi Kehta Hai Ye Rasta Hai Or Teray Liye Hai Ye Rasta,
Koi Is Mein Khaak Uraata Hai, Par Jaanay Kon Uraata Hai.
Koi Kehta Hai Ye Dunya Hai Or Teray Liye Hai Ye Dunya,
Koi Is Say Khof Dilaata Hai, Par Jaanay Kon Dilaata Hai.
Koi Kehta Hai Is Mitti Mein Kayi Khuaab Hain Or In Khuaabon Say,
Koi Betha Naqsh Banaata Hai, Par Jaanay Kon Banaata Hai.
Koi Har Shay Kay Seenay Mein Kaheen, Maujood Hai Zaahir Honay Ko,
Koi Apnaa Aap Chhupaata Hai, Par Jaanay Kon Chhupaata Hai.
Koi Dekha An-Dekha Har Pal Chup Chaap Likhay Jaata Hai Magar,
Koi Mujh Mein Shor Machaata Hai, Par Jaanay Kon Machaata Hai.
Mujhay Dunya Apni Chhab Dikhlaanay Roz Chali Aati Hai Magar,
Koi Dono'n Beeech Aajaata Hai, Par Jaanay Kon Aajata Hai.
~Saleem Kausar
0 comments:
Post a Comment