Arz-O-Samaa Ko Saaghar-O-Paimaana Kar Diya


Arz-O-Samaa Ko Saaghar-O-Paimaana Kar Diya,
Rindon Nay Kaainaat Ko May-Khaana Kar Diya.


Ay Husn! Daad Day Kay Tamannaa-E-Ishq Nay,
Teri Hayaa Ko Ishwa-E-Turkaana Kar Diya.

Qurbaa'n Teray Kay Ek Nigah-E-Iltifaat Nay,
Dil Ki Jhijak Ko Jurrat-E-Rindaana Kar Diya.

Sad Shukr Dars-E-Hikmat-E-Naa-Haq-Shanaas Ko,
Ham Nay Raheen-E-Na'ra-E-Mastaana Kar Diya.

Kuch Roz Tak Tou Naazish-E-Farzaanagi Rahi,
Aakhir Hujoom-E-Aql Nay Deewaana Kar Diya.

Duniya Nay Har Fasaana Haqeeqat Banaa Diya,
Ham Nay Haqeeqaton Ko Bhi Afsaana Kar Diya.

Aawaaz Do Kay Jins-E-Do-Aalam Ko JOSH Nay,
Qurbaan-E-Yak-Tabassum-E-Jaanaana Kar Diya.

~Josh Malihabadi

0 comments: