Kon Saa Ham-Dam Hai Teray Aashiq-E-Bay-Dam Kay Paas


Kon Saa Ham-Dam Hai Teray Aashiq-E-Bay-Dam Kay Paas,
Gham Hai Us Kay Paas Ham-Dam, Or Wo Hai Dam Kay Pas.


Ham Ko Kia Saaqi, Jo Tha Jaam-E-Jahaan Been Jam Kay Paas,
Tera Jaam-E-Baada Ho, Or Tu Ho Is Pur-Gham Kay Paas.

Khatt Kahaan Aaghaaz Hai Pusht-E-Lab-E-Dildaar Par,
Hain Janaab-E-Khizr Aaye Eesa-E-Maryam Kay Paas.

Mardamak Kay Paas Hai Ye Ashk-E-Khoonee'n Ka Hujoom,
Yaa Dharay Yaaqoot Hain Ye Daana-E-Neelam Kay Paas?

Rooh Is Aatash Bajaa'n Ki Bad-E-Murdan Joon Patang,
Aaye Gi Urr Kar Charaagh-E-Khaana-E-Maatam Kay Paas.

Kis Ki Qismat Hai Kay Zakhm-E-Taigh-E-Qaatil Ho Naseeb,
Jaan Say Jaayen, Na Jaayengay Magar Mar'ham Kay Paas.

Kia Mazay Lay Lay Kay Gul Khhaayen Agar Aajaye Haath,
Ye Jo Chhalla Aap Ki Ungli Mein Hai Khaatam Kay Paas.

Zulf Say Bay-Wajh Khatt-E-Sabz Ham Pehlu Nahi,
Hai Lehekta Ishq Paichaa'n Sunbul-E-Pur-Kham Kay Paas.

Waah Sayyad-E-Ajal Or Waah Sayyaadi Ka Paich,
Khich Kay Hai Asfand Yaar Aaya Kahaan Rustam Kay Paas.

Daikho Fayyaaz-E-Azal Nay Kia Diya Aankhon Ko Faiz,
Kaasa Dar Kaff Ho Kay Yam Aatay Hain Unki Nam Kay Paas.

Hai Jo Qismat Mein Tou Daryaa Bhi Kabhi Ho Jaayega,
Aa Laga Hai Apna Qatra Bhi Kinaar-E-Yam Kay Paas.

Kar Kay Behr-O-Qaafiya Tabdeel, Likh Or Ek Ghazal,
Baith Koi Dam Tou Ay ZAUQ Or Is Pur-Gham Kay Paas.

~Ibrahim Zauq

0 comments: