Mujhay Baaghbaa'n Say Gila Ye Hai, Kay Chaman Say Bay-Khabari Rahi


Mujhay Baaghbaa'n Say Gila Ye Hai, Kay Chaman Say Bay-Khabari Rahi,
Kay Hai Nakhl-E-Gul Ka Tou Zikr Kia, Koi Shaakh Tak Na Hari Rahi.


Mera Haal Dekh Kay Saaqiya Koi Baada-Khuaar Na Pi Saka,
Teray Jaam Khaali Na Hosakay, Meri Chashm-E-Tar Na Bharri Rahi

Mein Qafass Ko Torr Kay Kia Karoon Mujhay Raat Din Ye Khayaal Hai,
Ye Bahaar Bhi Yunhi Jaaye Gi Jo Yehi Shikasta Pari Rahi.

Mujhay Ilm Teray Jamaal Ka, Na Khabar Hai Teray Jalaal Ki,
Ye Kaleem Jaanay Kay Toor Par, Teri Kesi Jalwa Gari Rahi.

Mein Azal Say Aaya Tou Kia Mila, Jo Mein Jaaon Ga Tou Milay Ga Kia?
Meri Jab Bhi Dar-Badari Rahi, Meri Ab Bhi Dar-Badari Rahi.

Yehi Sochta Hoon Shab-E-Alam Kay Na Aaye Wo Tou Huwa Hai Kia,
Wahaan Jaa Saki Na Meri Fughaa'n, Kay Fughaa'n Ki Bay-Asari Rahi.

Shab-E-Wa'da Wo Jo Na Aasakay Tou QAMAR Kahun Ga Ye Charkh Say,
Teray Taaray Bhi Gaye Raa'igaa'n, Teri Chaandni Bhi Dhari Rahi.

~Qamar Jalalvi

0 comments: