Chaand Par Ek May-Kadah Abaad Hona Chaahiye,
Ya Mahabbat Ko Yaheen Aazaad Hona Chaahiye.
Qaazi-E-Mahshar! Teri Marzi , Hamaari Soch Hai,
Zaalimon Ko Dunyaa Mein Barbaad Hona Chaahiye.
Rooh Kay Bay-Rang Ufaq Par , Raat Bhar Goonji Nidaa,
Dil Pa'rin-Daa , Fikr Say Azaad Hona Chaahiye.
Khuaahish-E-Jannat Mein Kartay Hain Jo Zahid Naikiyaan,
Naam Un Kaa "Mut'taqi Shad'daad" Hona Chaahiye.
Khoobsoorat Titliyon Nay Khol Kar Rakh Di Kitaab,
Ghunchon Ki Janib Say Kuch Irshaad Hona Chaahiye.
Ishq Ki Geetaa Kay "Pichlay" Nuskhon Main Yeh Darj Thaa,
Taalibaan-E-Husn Ko Folaad Hona Chaahiye.
Wasl-E-Sheereen Tu Khudaa Ki Marzi Par Hai Mun'hasir,
Aashiqon Ko Mehnati Farhaad Hona Chaahiye.
Naamwar Ush'shaaq Ki Naa-Kami Say Saabit Huwa,
Ishq Kay Mazmoon Kaa Ustaad Hona Chaahiye.
Khoon Say Khatt Likh Tu Loon Par Piyaar Kay Iz'haar Kaa,
Rastaa Asaan-Tar Aijaad Hona Chaahiye.
Ilm Kaa Anbaar Raah-E-Ishq Mein Bay-Kaar Hai,
QAIS Ko Bass Laila Kaa Ghar Yaad Hona Chaahiye.
0 comments:
Post a Comment