Yunhi Bay-Sabab Na Phiraa Karo


Yunhi Bay-Sabab Na Phiraa Karo, Koi Sham Ghar Bhi Raha Karo,
Wo Ghazal Ki Sachi Kitaab Hai, Usay Chupkay Chupkay Parha Karo.


Koi Haath Tak Na Milaaye Ga Jo Galay Milo Gay Tapaak Say,
Ye Naye Mizaaj Ka Shehr Hai, Zara Faaslay Say Mila Karo.

Mujhay Ishtihaar Si Lagti Hain Ye Mahabbaton Ki Kahaaniyaan,
Jo Kaha Nahi Wo Suna Karo, Jo Suna Nahi Wo Kaha Karo.

Abhi Raah Mein Kayi Morr Hain, Koi Aayega Koi Jaayega,
Tumhein Jis Nay Dil Say Bhulaa Diya, Usay Bhoolnay Ki Dua Karo.

Kabhi Husn-E-Parda Nashee'n Bhi Ho Zara Aashiqaana Libaas Mein,
Jo Mein Ban Sanwar Kay Kaheen Chaloo'n, Meray Saath Tum Bhi Chalaa Karo.

Nahi Bay-Hijaab Wo Chaand Sa Kay Nazar Ka Koi Asar Na Ho,
Usay Itni Garmi-E-Shoq Say Bari Dair Tak Na Taka Kro.

Ye Khizaa'n Ki Zard Si Shaal Mein Jo Udaas Pairr Kay Paas Hai,
Ye Tumhaaray Ghar Ki Bahaar Hai, Isay Aanuo'n Say Hara Karo.

~Bashir Badr

0 comments: