Mujhay Kiun Na Aaway Saaqi Nazar Aaftaab Ulta


Mujhay Kiun Na Aaway Saaqi Nazar Aaftaab Ulta,
Kay Parra Hai Aaj Khum Mein Qadah-E-Sharaab Ulta.


Ajab Ultay Mulk Kay Hain Aji Aap Bhi Kay Tum Say,
Kabhi Baat Ki Jo Seedhi Tou Mila Jawaab Ulta.

Chalay Thay ''Haram'' Ko Rah Mein, Huwe Ek Sanam Kay Aashiq,
Na Huwa Sawaab Haasil, Ye Milaa Azaab Ulta.

Ye Shab-E-Guzashta Daikha, Wo Khafa Say Kuch Hain Goya,
Kahee'n Haq Karay Kay Howay Ye Hamaara Khuaab Ulta.

Ye Ajeeb Maajra Hai Kay Ba-Roz-E-Eid-E-Qurbaa'n,
Wohi Zibh Bhi Karay Hai, Wohi Lay Sawaab Ulta.

Kharay Chup Ho Daikhtay Kia, Meray Dil Ujarr Gaye Ko,
Wo Gunah To Keh Do Jis Say Ye Huwa Kharaab Ulta.

Ghazal Or Qaafiyon Mein Na Kahay So Kiunkay INSHA,
Kay Hawa Nay Khud-Ba-Khud Aa, Waraq-E-Kitaab Ulta.

~Insha Allah Khan Insha

0 comments: