Husn-E-Bay-Parwaa Ko Khud-Been-O-Khud-Aaraa Kar Diya


Husn-E-Bay-Parwaa Ko Khud-Been-O-Khud-Aaraa Kar Diya,
Kia Kiya Mein Nay Kay Iz'haar-E-Tamanna Kar Diya.

Barh Gayin Tum Say Tou Mil Kar Or Bhi Bay-Taabiyaa'n,
Ham Ye Samjhay Thay Kaya B Dil Ko Shakeeba Kar Diya.

Parh Kay Tera Khatt Meray Dil Ki Ajab Haalat Hui,
Azteraab-E-Shoq Nay Ek Hashr Barpaa Kar Diya.

Ham Rahay Yaa'n Tak Teri Khidmat Mein Sar-Garm-E-Niyaaz,
Tujh Ko Aakhir Aashnaa-E-Naaz-E-Bay-Jaa Kar Diya.

Ab Nahi Dil Ko Kisi Soorat Kisi Pehlu Qaraar,
Us Nigaah-E-Naaz Nay Kia Sehr Aisa Kar Diya.

Ishq Say Teray Barhay Kia Kia Dilo'n Kay Martabay,
Mehr Zarro'n Ko Kiya, Qatro'n Ko Daryaa Kar Diya.

Kiun Na Ho Teri Mahabbat Say Munawwar Jaan-O-Dil,
Shama' Jab Roshan Hui Ghar Mein Ujaala Kar Diya.

Teri Mahfil Say Uthaata Ghair Mujh Ko Kia Majaal,
Daikhta Tha Mein Kay Tu Nay Bhi Ishaara Kar Diya.

Sab Ghalat Kehtay Thay Lutf-E-Yaar Ko Wajh-E-Sukoo'n,
Dard-E-Dil Us Nay Tou HASRAT Or Dona Kar Diya.

~Hasrat Mohani

0 comments: