Kabhi Ban Sanwar Kay Jo Aa Gaye, To Bahaar-E-Husn Dikha Gaye


Kabhi Ban Sanwar Kay Jo Aa Gaye, To Bahaar-E-Husn Dikha Gaye,
Mere Dil Ko Daagh Laga Gaye, Ye Naya Shagoofa Khila Gaye.

Koi Kiun Kisi Ka Lubhaye Dil, Koi Kiun Kisi Say Lagaye Dil,
Woh Jo Baichtay Thay Dawa-E-Dil, Woh Dukaan Apni Barha Gaye.

Mere Paas Aatay Thay Dam-Ba-Dam, Wo Juda Na Hote Thay Aik Dam,
Ye Dikhaaya Charkh Nay Kia Sitam, Kay Mujhi Say Aankhein Churaa Gaye.

Jo Milaatay Thay Meray Mu Say Mu, Kabhi Lab Say Lab Kabhi Dil Se Dil,
Jo Ghuroor Tha Wo Unhi Pe Tha, Wo Sabhi Ghurooron Ko Dhaa Gaye.

Bandhay Kiun Na Aansuon Ki Jhari, Kay Ye Hasrat Un Ki Galay Pari, 
Wo Jo Kakulei'n Thein Bari Bari, Woh Unhi Kay Paich Mein Aa Gaye.

Yehi Shoq Thaa Humein Dam-Ba-Dam, Kay Bahaar Daikhen Gay Ab Kay Ham,
Joo'nhi Chhootay Qaid-E-Qafs Say Ham, To Suna Khizaan Kay Din Aa Gaye.

~Bahadur Shah Zafar

3 comments:

Unknown said...

bahadur shah zafar is a extra ordienary pooet allthough he was the student of mirza ghalib. but unfortunatily nobody gives respons as a other poets

Muzammil Shaikh said...

Bahadur Shah Zafar no doubt was a great poet. I agree With you.

j s pande said...

He was a pupil of Ustad Ibrahim Zauq. Not Mirza Ghalib.