Wo Hawaa Na Rahi, Wo Chaman Na Raha, Wo Gali Na Rahi Wo Hasee'n Na Rahay,


Wo Hawaa Na Rahi, Wo Chaman Na Raha, Wo Gali Na Rahi Wo Hasee'n Na Rahay,
Wo FaLak Na Raha Wo Samaa'n Na Raha, Wo Makaan Na Rahay Wo Makee'n Na Rahay.


Wo Gulo'n Mein GuLo'n Ki Si Bu Na Rahi, Wo Azeezon Mein Lutf Ki Khoo Na Rahi,
Wo Haseeno'n Mein Rang-E-Wafaa Na Raha, Kaheen Or Ki Kia Wo Hamee'n Na Rahay.

Na Wo Aan Rahi Na Umang Rahi, Na Wo Rindi-O-Zohd Ki Jang Rahi,
Soo-E-Qibla Nigaahon K Rukh Na Rahay, Or Dair Pe Naqsh-E-Jabee'n Na Rahay.

Na Wo Jaam Rahay Na Wo Mast Rahay Na Fidaai-E-Ahd-E-Alast Rahay,
Wo Tareeqa-E-Kaar-E-Jahaa'n Na Rahaa, Wo Mashaaghil-E-Ronaq-E-Dee'n Na Rahay.

Hamein Laakh Zmaana Lubhaaye Tou Kia, Na'ey Rang Jo Charkh DiKhaaye To Kia?
Ye Muhaal Hai Ahl-E-Wafa K Liye Gham-E-Millat-O-Ulfat-E-Dee'n Na Rahay.

Tere Koocha-E-Zulf Mein Dil Hai Mera, Ab Usay Main Smjhta Hoo'n Daam-E-Bala,
Ye Ajeeb Sitam Hai Ajeeb Jafa, K Yahaan Na Rahay Tou Kahee'n Na Rahay.

Ye Tumhaaray Hi Dam Se Hai Bazm E Tarab, Abhi Jaao Na Tum Na Karo Ye Ghazab,
Koi Baith K Lutf Uthaaye Ga Kia, K Jo Ronaq-E-Bazm Tumhee'n Na Rahay.

Jo Thee'n Chashm-E-Falak Ki Bhi Noor-E-Nazar, Wohi Jin Pe Nisaar Thay Shams-O-Qamar,
So Ab Aisi Miti Hain Wo Anjumanain, K Nishaan Bhi Un K Kahee'n Na Rahay.

Wohi Sooraten Reh Ga'een Paish-E-Nazar, Jo Zmaanay Ko Phairen Idhar Se Udhar,
Magar Aisay Jamaal-E-Jahaan Aaraa Jo Thy Ronaq-E-Ru-E-Zamee'n Na Rahay.

Gham-O-Ranj Mein AKBAR Agar Hai Ghiraa, Tou Samajh Lay K Ranj Ko Bhi Hai Fanaa,
Kisi Shay Ko Nahi Hai Jahaan Mein Baqaa, Wo Ziyaada Malool-O-Hazee'n Na Rahay.

~Akbar Allahabadi

0 comments: