Wo Meri Ghazal Saraai, Wo Kisi Ka Muskuraana


Wo Meri Ghazal Saraai, Wo Kisi Ka Muskuraana,
Wo Zara Theher Kay Khud Hi, Koi Shai'r Gungunaana.

Shab-E-Maah-O-Mausam-E-Gul, Wo Kinaar-E-Joo Wo Khalwat,
Wo Hujoom-E-Kaif-O-Masti, Wo Fasaana Dar-Fasaana.

Tujhay Yaad Agar Na Ho Tou, Tujhay Yaad Mein Dila Doo'n,
Mujhay Yad Hai Wo Sab Kuch, Wo Maqaam Wo Zamaana.

Wo Naye Naye Say Jazbay, Wo Nayi Nayi Si Har Shay,
Wo Nayi Nayi Umangei'n, Wo Naya Naya Zamana.

Wo Ghhataae'n Umdi Umdi, Wo Hawaaye'n Mehki Mehki,
Wo Nigaahei'n Behki Behki, Wo Adaayen Waalehaana.

Wo Shikast-E Azm-O-Himmat, Wo Ghuroor-E-Fath-O-Nusrat,
Wo Suroor-E-Dard-Mandi, Wo Nishaat-E-Dil-Baraana.

Teray Sang-E-Gham Nay Torra, Meray Sheesha-E-Khudi Ko,
Mera Dil Tha Toba Toba, Kay Khuda-E-Be-Zamaana.

~Poet Unknown

0 comments: