Chaandni Rehti Hai Shab Bhar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar

Chaandni Rehti Hai Shab Bhar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar,
Haaye Mein Or Aik Chaadar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Khaar-Haa-E-Dasht-E-Ghurbat Daagh-E-Saudaa-E-Junoo'n,
Kuch Na Kuch Rakhta Hoo'n Aksar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Bhaag Kar Jaaoo'n Kahaan Past-O-Baland-E-Dahr Say,
Hain Zameen-O-Charkh Ghar Ghar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Kon Hai Baaleen-E-Turbat Aaj Sar-Garm-E-Khiraam,
Wajd Mein Hai Shor-E-Mahshar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Bay-Takalluf Kia Basar Hoti Hai Kunj-E-Gor Mein,
Khaak Bistar, Khaak Chaadar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Orh Kar Aab-E-Rawaa'n Ka Gar Dopatta Tum Chalo,
Moj-E-Zann Ho Ek Samandar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Kuch Uraa Kar Shokhiyon Say Wo Sitaaray Bazm Mein,
Kehtay Hain Dekho Tou Akhtar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Jaada-O-Moj-E-Hawa Bay Tairay Dono Dasht Mein,
Kar Rahay Hain Kaar-E-Khanjar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Juz Kharaash-E-Khaar Yaa Khaak-E-Muzallat Qais Ko,
Or Kia Deta Muqaddar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Jeetay Jee Sab Shaan Thi Mar Kar Bajaa-E-Takht-O-Taaj,
Khaak Rakhta Hai Sikandar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Saaya Hoon, Kia Aoj Mera, Kia Meri Uftaadagi,
Aik Aalam Hai Baraabar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Murday Hain Paamaal, Mushtaaq-E-Nazaara Hain Maseeh,
Dekhta Chal-O-Sitamgar! Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Jism-O-Jaa'n Dono Zameen-O-Aasmaan Kay Hain Makeen,
Aik Main Rakhta Hoon Dou Ghar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Ho Nahi Sakta Kabhi Khaasaan-E-Haqq Ko Kuch Hijaab,
Aik Tha Paish-E-Payambar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

Da'wa-E-Tishna Say Ay TASLEEM Likhi Ye Ghazal,
Warna Mohmal Hai Saraasar Zair-E-Paa Baalaa-E-Sar.

~Tasleem Lakhnavi

0 comments: