Aayina Kiun Na Doo'n Ke Tamasha Kahein Jisay,
Aisa Kahaa'n Se Laau'n Ke Tujhsaa Kahein Jisay.
Hai Intezaar Say Sharar Aabad Rust Khaiz,
Mizgaan-E-Kohkan Rag-E-Khaaraa Kahein Jisay.
Hasrat Nay La Rakha Teri Bazm-E-Khayal Mein,
Guldasta-E-Nigaah Suweda Kahein Jisay.
Kis Fursat-E-Wisaal Pe Hai Gull Ko Andleeb,
Zakhm-E-Firaaq Khanda-E-Bay-Jaa Kahein Jisay.
Yaa Rab Hamein Tou Khuaab Mein Bhi Mat Dikhaaiyo,
Ye Mahshar-E-Khayaal Kay Dunya Kahein Jisay.
Phoonka Hai Kisne Gosh-E-Mahabbat Mein Ay Khuda!
Afsoon-E-Intazar, Tamanna Kahein Jisay.
Sar Par Hujoom-E-Dard-E-Garibi Se Daliye,
Wo Aik Musht-E-Khaak Ke Sehraa Kahein Jisay.
Hai Chashm-E-Tar Me Hasrat-E-Diidar Se Nihaa'n,
Shauq-E-Inaa'n Gusekhta, Dariya Kahein Jisay.
Darakar Hai Shaguftan-E-Gul'haaye Aish Ko,
Subh-E-Bahar Panba-E-Meena Kahein Jisay.
GHALIB Bura Na Maan Jo Waa'iz Bura Kahay,
Aisa Bhi Koi Hai Kay Sab Ach'chha Kahein Jisay?
~Mirza Ghalib
0 comments:
Post a Comment