Har Aik Baat Pe Kehtay Ho Tum Ki Tu Kia Hai

Har Aik Baat Pe Kehtay Ho Tum Ki Tu Kia Hai, 
Tumhee Kaho Ke Ye Andaaz-E-Guftugu Kia Hai. 


Na Sho’lay Men Ye Karishma Na Barq Men Ye Ada,
Koi Batao Ki Wo Shokh-E-Tundkhoo Kia Hai. 

Ye Rashk Hai Ki Wo Hota Hai Humsukhan Humsay,
Wagarna Khof-E-Bad-Aamozii-E-Adoo Kia Hai. 

Chipak Rahaa Hai Badan Par Laho Se Pairhan,
Hamaari Jaib Ko Ab Haajat-E-Rafu Kia Hai. 

Jala Hai Jism Jahaa’n Dil Bhi Jal Gaya Hoga, 
Kuraidte Ho Jo Ab Raakh Justaju Kia Hai. 

Ragon Mein Daurtay Phirnay Ke Ham Nahiin Qaa’il, 
Jab Aankh Hi Se Na Tapkaa To Phir Lahu Kia Hai. 

Wo Cheez Jiskay Liye Hamko Ho Bahisht Azeez,
Siwaaye Baadaa-E-Gulfaam-E-Mushkbu Kia Hai. 

Piyoon Sharab Agar Khum Bhi Daikh Loo’n Do Chaar, 
Ye Sheeshaa-O-Qadah-O-Kooza-O-Subu Kyaa Hai. 

Rahi Na Taaqat-E-Guftaar Or Agar Ho Bhi,
To Kis Umeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kia Hai. 

Bana Hai Shah Ka Musahib, Phiray Hai Itarataa,
Wagarnaa Shahr Men "Ghalib" Ki Abaru Kyaa Hai.

~Mirza Ghalib

0 comments: