Asar Us Ko Zara Nahi Hota,
Ranj,Rahat Fiza Nahi Hota.
Bay-Wafa Kehnay Ki Shikaayat Hai,
Tou Bhi Wada Wafa Nahi Hota.
Zikr-E-Aghyaar Say Huwa Maloom,
Hurf-E-Naasih Bura Nahi Hota.
Kis Ko Hai Zoq-E-Talkh Kami Laik,
Jang Bin Kuch Maza Nahi Hota.
Tum Hamaray Kisi Tarah Na Huwe,
Warna Dunya Mein Kia Nai Hota.
Us Nay Kia Jaanay Kia Kiya Lay Kar,
Dil Kisi Kaam Ka Nahi Hota.
Imtihaa’n Kijiye Meraa Jab Tak,
Shoq Zor-Aazma Nahi Hota.
Aik Dushman Ke Charkh Hai Na Rahy,
Tujh Say Ye Ay Dua Nahi Hota.
Aah! Tool-E-Amal Hai Roz Afzoo’n,
Gar Che Ek Mudd’aa Nahi Hota.
Na-Rasaa'ee Say Dam Rukay Tou Rukay,
Main Kisi Say Khafaa Nahi Hota.
Tum Mere Pas Hote Ho Goya,
Jab Koi Doosra Nahi Hota.
Haal-E-Dil Yaar Ko Likhoon Kiun Kar,
Haath Dil Se Juda Nahi Hota.
Rahm Kar Khasm, Jaan-E-Ghair Na Ho,
Sab Ka Dil Aik Saa Nahi Hota.
Daaman Us Ka Jo Hai Daraaz Tou Ho,
Dast-E-Aashiq, Rasaa Nahi Hota.
Chaara-E-Dil Siwa-E-Sabr Nahi,
So Tumharay Siwa Nahi Hota.
Kiun Sunay Arz-E-Muztir Ay “Momin”
Sanam Aakhir Khudaa Nahi Hota.
~Hakim Momin Khan Momin
0 comments:
Post a Comment