Dard Se Mere Hai Tujhko Be-Qaraari Haaye Haaye,
Kya Hui Zaalim Teri Ghaflat-Shi'aari Haaye Haaye.
Tere Dil Mein Gar Na Tha Aashob-E-Gham Ka Hausala,
Tu Ne Phir Kiun Ki Thi Meri Gham-Gusari Haaye Haaye.
Kiun Meri Gham-Khuaaragi Ka Thujhko Aaya Tha Khayaal,
Dushmani Apni Thi Meri Dostdaari Haaye Haaye.
Umr Bhar Ka Tu Ne Paiman-E-Wafa Bandha Tou Kia,
Umr Ko Bhi Tou Nahi Hai Paydaari Haaye Haaye.
Zahr Lagti Hai Mujhay Aab-O-Hawaa-E-Zindagi,
Yani Tujhsay Thi Isay Naa-Sazgari Haaye Haaye.
Gul-Fishani Haaye Naaz-E-Jalwa Ko Kia Ho Gaya,
Khaak Par Hoti Hai Teri Lala-Kaari Haaye Haaye.
Sharm-E-Ruswai Se Ja Chupna Niqaab-E-Khaak Mein,
Khatm Hai Ulfat Ki Tujh Par Parda-Daari Haaye Haaye.
Khaak Mein Namoos-E-Paimaan-E-Mahabbat Mil Gayi,
Uth Gayi Dunya Say Raah-O-Rasm-E-Yaari Haaye Haaye.
Hath Hi Tegh-Aazama Ka Kاam Say Jaata Raha,
Dil Pe Ek Lagnay Na Paaya Zakhm-E-Kari Haaye Haaye.
Kis Tarah Kaatay Koi Shab Haaye Tar-E-Barshgaal,
Hai Nazar Khoo-Karda-E-Akhtar-Shumaari Haaye Haaye.
Gosh Mahjoor-E-Payam-O-Chashm Mahroom-E-Jamal,
Ek Dil, Tis Par Ye Na-Um’meedwaari Haaye Haaye.
Ishq Ne Pakra Na Tha "Ghalib" Abhi Wahshat Ka Rang,
Rah Gaya Tha Dil Mein Jo Kuch Zauq-E-Khuaari Haaye Haaye.
~Mirza Ghalib
0 comments:
Post a Comment