Mash'hoor Hain Dino'n Ki Meray Bay-Qarariyaa'n


Mash'hoor Hain Dino'n Ki Meray Bay-Qarariyaa'n,
Jati Hain La-Makaa'n Ko Dil-E-Shab Ki Zaariyaa'n.


Chehray Pe Jaisay Zakhm Hai Naakhun Ka Har Kharaash,
Ab Deedni Hui Hain Meri Dastkaariyaa'n

So Baar Hum Ne Gull Kay Gaye Par Chaman Kay Beech,
Bhar Di Hain Aab-E-Chashm Say Raaton Ko Kiyaariyaa'n.

Kushatay Ki Us Kay Khaak Bharay Jism-E-Zaar Par,
Khaali Nahi Hain Lutf Say Lohoo Ki Dhaariyaa'n.

Turbat Say Ashiqo'n Kay Na Ut'tha Kabho Ghubaar,
Jee Say Gaye Walay Na Gayi'n Raaz-Dariyaa'n.

Ab Kis Kis Apni Khuaahish-E-Murda Ko Roiye,
Thee'n Hamko Us Sy Senkron Um'meed-Waariyaa'n.

Parhtay Phirain Gay Galyo'n Me Un Raikhton Ko Log,
Muddat Rahen Gi Yaad Ye Baatain Hamaariyaa'n.

Kia Jantay Thy Aisy Din Aa Jayen Gay Shitaab,
Rotay Guzartiyaa'n Hain Hamein Raatain Saariyaa'n.

Gull Nay Hazaar Rang-E-Sukhan Sar Kiya Waly,
Dil Say Gayi'n Na Baatain Teri Piyaari Piyaariyaa'n.

Jaao Gay Bhool Ahd Ko Far'haad-O-Qais Kay,
Gar Pohnchein Ham Shikasta-Dilo'n Ki Bhi Yaariyaa'n.

Bach Jata, Aik Raat Jo Katt Jati Or Mir,
Kaatee'n Thi Koh-Kann Nay Bahut Raatain Bhaariyaa'n.

~Mir Taqi Mir

0 comments: