Aasmaano'n Par Nazar Kar Anjum-O-Mahtaab Daikh,
Subh Ki Bunyaad Rakhni Hai Tou Pehlay Khuaab Daikh.
Ham Bhi Sochen Gay Duaa-E-Bay-Asar Kay Baab Mein,
Ek Nazar Tu Bhi Tazaad-E-Minbar-O-Mihraab Daikh.
Dosh Par Tar-Kash Para Rehnay Day Pehlay Dil Sanbhaal,
Dil Sanbhal Jaaye Tou Soo-E-Seena-E-Ahbaab Daikh.
Moja-E-Sar-Kash Kinaaro'n Say Chhalak Jaaye Tou Phir,
Kaisi Kaisi Bastiyaa'n Aati Hain Zair-E-Aab Daikh.
Boond Mein Saara Samandar, Aankh Mein Kul Kaainaat,
Aik Musht-E-Khaak Mein Sooraj Ki Aab-O-Taab Daikh.
Kuch Qalandar Mashrabo'n Say Raah-O-Rasm-E-Ishq Seekh,
Kuch Ham Aashufta-Mizaajo'n Kay Adab Aadaab Daikh.
Shab Ko Khatt-E-Noor Mein Likhi Hui Tabeer Parh,
Subh Tak Deewaar-E-Aayinda Mein Khiltay Baab Daikh.
Iftikhar Arif Kay Tund-O-Taiz Lehjay Par Na Jaa,
Iftikhar Arif Ki Aankho'n Mein Ulajhtay Khuaab Daikh.
~Iftikhar Arif
0 comments:
Post a Comment