Is Basti Kay Ek Koochay Mein, Ik INSHA Naam Ka Deewaana,
Ik Naar Pe Jaan Ko Har Gaya, Mash'hoor Hai Us Ka Afsaana.
Us Naar Mein Aisa Roop Na Tha, Jis Roop Say Din Ki Dhoop Dabay,
Is Shehr Mein Kia Kia Gori Hai, Mahtaab Rukh-E-Gulnaar Liye,
Kuch Baat Thi Us Ki Baatoo'n Mein,Kuch Bhaid Thay Us Kay Chitwan Mein,
Wohi Bhaid Kay Joat Jagaatay Hain, Kisi Chahnay Waalay Kay Mann Mein,
Usay Apna Bananay Ki Dhun Mein, Hua Aap Hi Aap Se Bay-Gaana,
Is Basti Kay Ik Koochay Mein Ik INSHA Naam Ka Deewaana.
Na Chanchal Khail Jawaani Kay, Na Payaar Ki Al'larh Ghaatein Theen,
Bus Raah Mein Un Ka Milna Tha Aur Phone Pe Un Ki Baatein Theen,
Is Ishq Pay Ham Bhi Hanstay Thay, Bay-Haasil Sa Bay-Haasil Tha?
Ik Roz Biphartay Saagar Mein, Na Kashti Thi Na Saahil Tha,
Jo Baat Un Kay Jee Mein Thi, Jo Bhaid Tha Yaksar Anjaana
Is Basti Kay Ik Koochay Mein Ik INSHA Naam Ka Deewaana.
Ik Roz Magar Barkha Rutt Mein, Wo Bhaadoo'n Thi Yaa Sawan Tha,
Deewar Pe Beech Sumandar Kay, Ye Dekhnay Waloo'n Nay Dekha,
Mastana Haath Mein Haath Diye, Ye Aik Kagar Pe Baithay Thay,
Youn Shaam Hui Phir Raat Hui, Jab Sailaani Ghar Laot Gay,
Kia Raat Thi Wo Ji Chahta Hai Us Raat Pe Likhein Afsaana,
Is Basti Kay Ik Koochay Mein Ik INSHA Naam Ka Deewaana.
Haa'n Umr Ka Saath Nibhaanay Kay Thay Ehd Bahut Paimaan Bahut,
Wo Jin Pe Bharosa Karnay Mein Kuch Sood Nahi , Nuqsaan Bahut,
Wo Naar Ye Keh Kar Door Hui "Majboori Saajan Majboori"
Ye Wahshat Say Ranjoor Huwe Aur Ranjoori Si Ranjoori?
Us Roz Hamein Maloom Hua, Us Shakhs Ka Mushkil Samjhana,
Is Basti Kay Ik Koochay Mein Ik INSHA Naam Ka Deewaana.
Go Aag Say Chhaati Jalti Thi, Go Aankh Say Darya Behta Tha,
Har Aik Say Dukh Nahi Kehta Tha, Chup Rehta Tha Gham Sehta Tha,
Naadaan Hain Wo Jo Chairtay Hain, Is Aalam Mein Deewanoo'n Ko,
Us Shakhs Say Aik Jawab Mila, Sab Apno'n Ko Baigaano'n Ko,
"Kuch Aur Kaho To Sunta Hoo'n, Is Baab Mein Kuch Mat Farmana"
Is Basti Kay Ik Koochay Mein Ik INSHA Naam Ka Deewaana.
Ab Aagay Ka Tahqeeq Nahi, Go Sun'nay Ko Ham Suntay Thay,
Us Naar Ki Jo Jo Baatein Theen, Us Naar Kay Jo Jo Qissay Thay,
Ik Shaam Jo Us Ko Bulwaaya, Kuch Samjhaya Bechaaray Nay,
Us Raat Ye Qissa Paak Kiya, Kuch Kha Hi Liya Dukhyaaray Nay,
Kia Baat Hui, Kis Taor Hui ? Akhbaar Say Logoo'n Nay Jana,
Is Basti Kay Ik Koochay Mein Ik INSHA Naam Ka Deewaana.
Har Baat Ki Khoj Tou Theek Nahi, Tum Ham Ko Kahaani Kehnay Do,
Us Naar Ka Naam Maqam Hai Kia, Is Baat Pay Parda Rehnay Do,
Ham Se Bhi Soda Mumkin Hai, Tum Se Bhi Jafa Ho Sakti Hai,
Ye Apna Bayaa'n Ho Sakta Hai, Ye Apni Katha Ho Sakti Hai,
Wo Naar Bhi Aakhir Pachtaayi, Kis Kaam Ka Aisa Pachtaana?
Is Basti Kay Ik Koochay Mein Ik INSHA Naam Ka Deewaana.
~Ibn-E-Insha
0 comments:
Post a Comment