Kehti Hai Tujh Ko Khalq-E-Khudaa Ghaa'ibaana Kia


Sun Tou Sahi Jahaa'n Mein Hai Tera Fasaana Kia,
Kehti Hai Tujh Ko Khalq-E-Khudaa Ghaa'ibaana Kia.


Kia Kia Ulajhta Hai Teri Zulfon Kay Taar Say,
Bakhya Talab Hai Seena-E-Sad-Chaak Shaana Kia?

Zair-E-Zamee'n Say Aata Hai Jo Gill So Zar Ba-Kaff,
Qaaroo'n Nay Raastay Mein Khazaana Lutaaya Kia?

Urtaa Hai Shoq Raahat-E-Manzil Say Asp-E-Umr,
Mehmeez Kehtay Hain Kisay, Or Taaziyaana Kia.

Zeena Saba Ka Dhoondti Hai Apni Musht-E-Khaak,
Baam-E-Baland Yaar Ka Hai Aastaana Kia.

Chaaron Taraf Say Soorat-E-Jaanaa'n Ho Jalwa-Gar,
Dil Saaf Ho Tera Tou Hai Aayina-Khaana Kia.

Sayyaad Aseer-E-Daam Rag-E-Gul Hai Andleeb,
Dikhlaa Rahaa Hai Chhup Kay Usay Daam-O-Daana Kia.

Tabl-O-Alam Hai Paas Na Apna Hai Mulk-O-Maal,
Ham Say Khilaaf Ho Kay Karay Ga Zamaana Kia.

Aati Hai Kis Tarah Say Meri Qabz Rooh Ko,
Daikhoo'n Tou Maut Dhoond Rahi Hai Bahaana Kia.

Hai Yaar Saaz Waar Na Howay Ga Gosh Ko,
Mutrib Hamein Sunaata Hai Apna Fasaana Kia.

Sayyaad Gul Izaar Dikhaata Hai Sair-E-Baagh,
Bulbul Qafas Mein Yaad Karay Aashiyaana Kia.

Tirchhi Nigah Say Taa'ir-E-Dil Ho Chukaa Shikaar,
Jab Teray Kajj Paray Ga, Urray Ga Nishaana Kia.

Bay-Taab Hai Kamaal Hamaara Dil-E-Hazeen
Mehmaa'n Saraa-E-Jism Ka Hoga Rawaana Kia.

Yoo'n Mud'dayi Hasad Say Na Day Daad Tou Na Day,
Aatish Ghazal Ye Tu Nay Kahi Aashiqaana Kia.

~Haidar Ali Aatish

0 comments: