Kitaab-E-Ishq K Ultay Waraq Awwal Say Aakhir Tak

Kitaab-E-Ishq K Ultay Waraq Awwal Say Aakhir Tak,

Magar Samjhay Na Hum Is Ka Sabaq Awwal Say Aakhir Tak.




Buri Hai Ibtida Bhi Intiha Bhi Teri Ulfat Ki,

Kay Is Mein Hain Gham-O-Ranj-O-Q­alaq Awwal Say Aakhir Tak.



Kabhi Hai Arsh-E-Aa'laa Par Kabhi Taht-Us-Saraa Mein Hai,

Khulay Hain Shaikh Par Chaudah Tabaq Awwal Say Aakhir Tak.



May-E-Angoor Tohfay Mein Tujhy Daita Hoo'n Ay Zahid,

Rahay Ga Taiz Yaksaan Ye Araq Awwal Say Aakhir Tak.



Hazaaron Dost Dushman Bazm Mein Us Kay Rahay Lekin,

Raha Ek Shakl Par Nazm-O-Nasaq Awwal Say Aakhir Tak.



Bahaar-E-Aariz-E-Gul-Goo'n Say Teray Usko Kia Nisbat,

Nahi Ek Rang Par Rehti Shafaq Awwal Say Aakhir Tak.

Bashar Ko Gar Na Milti, Kis Ko Milti Ishq Ki Dolatt?

Nahee'n Tha Koi Is Ka Mustahaq Awwal Say Aakhir Tak.



Likhon Us Ko Jawaab Ay Daagh Kiya Main Sakhht Hairaan Hoo'n,

Likhay Hain Khatt Mein Mazmoon-E-Idaq Awwal Say Aakhir Tak.

~Daagh Dehlvi

0 comments: