Kisi Or Gham Mein Itni Khalish-E-Nihaa'n Nahi Hai


Kisi Or Gham Mein Itni Khalish-E-Nihaa'n Nahi Hai,
Gham-E-Dil Meray Rafeeqo! Gham-E-Raaigaa'n Nahi Hai.


Koi Ham-Nafas Nahi Hai, Koi Raaz-Daa'n Nahi Hai,
Faqat Aik Dil Tha Ab Tak So Wo Mehrbaa'n Nahi Hai.

Meri Rooh Ki Haqeeqat Meray Aansuo'n Say Poocho,
Mera Majlisi Tabassum Mera Tarjumaaa'n Nahi Hai.

Kisi Zulf Ko Sada Do, Kisi Aankh Ko Pukaaro,
Barri Dhoop Parr Rahi Hai Koi Saa'ibaa'n Nahi Hai.

Inhi Patharo'n Pe Chal Kar Agar Aa Sako Tou Aao,
Meray Ghar Kay Raastay Mein Koi Kehkashaa'n Nahi Hai.

~Mustafa Zaidi

0 comments: