Yaksaa'n Kabhi Kisi Ki Na Guzri Zamaanay Mein


Yaksaa'n Kabhi Kisi Ki Na Guzri Zamaanay Mein,
Yaadash Bakhair Baithay Thay Kal Aashiyaanay Mein.


Sadmay Diye Tou Sabr Ki Dolat Bhi Day Ga Wo,
Kis Cheez Ki Kami Hai Sakhi Kay Khazaanay Mein.

Ghurbat Ki Maut Bhi Sabab-E-Zikr-E-Khair Hai,
Gar Ham Nahi Tou Naam Rahay Ga Zamaanay Mein.

Dam-Bhar Mein Ab Mareez Ka Qissa Tamaam Hai,
Kiun-Kar Kahoo'n, Kay Raat Katay Gi Fasaanay Mein.

Nikli Ab Apni Rooh Tilism-E-Kaseef Say,
Hain Jalwa-Gar Ham Aaj Ek Aayina-Khaanay Mein.

Saaqi Mein Daikhta Hoon Zamee'n Aasmaa'n Ka Farq,
Arsh-E-Baree'n Mein Or Teray Aastaanay Mein.

Kia May-Kaday Ki Aab-O-Hawa Raas Aagayi,
Marr Kar Bhi Dafn Hain Ham Isi Aastaanay Mein.

Dil Mein Bahaar-E-Chehra-E-Rangee'n Ka Dhyaan Hai,
Yaa Jalwa-E-Bahisht Hai Aayina-Khaanay Mein.

Ab Kia Chhuraao Gay Is Aseer-E-Hawas Ko Tum,
Zulfon Say Dil Nikal Kay Phir Atkay Ga Shaanay Mein.

Fasl-E-Shabaab Aatay Hi Deewaanay Ban Gaye,
Kia Kia Na Saang Laatay Hain Log Is Zamaanay Mein.

Deewaarei'n Phaand Phaand Kay Deewaanay Chal Basay,
Khaak Urr Rahi Hai Chaar Taraf Qaid-Khaanay Mein.

Sayyad Is Aseeri Pay Sau Jaa'n Say Mein Fida,
Dil-Bastagi Qafas Ki Kahaa'n Aashiyaanay Mein.

Reh Reh Kay Jaisay Kaan Mein Kehta Hai Ye Koi,
Hongay Qafas Mein Kal, Jo Hain Aaj Aashiyaanay Mein.

Afsurda Khaatiron Ki Khizaa'n Kia, Bahaar Kia,
Kunj-E-Qafas Mein Marr Rahay, Ya Aashiyaanay Mein.

Ham Aisay Bad-Naseeb Kay Ab Tak Na Marr Gaye,
Aankho'n Kay Aagay Aag Lagi Aashiyaanay Mein.

Deewaanay Bankay Un Kay Galay Say Lipatt Bhi Jaao,
Kaam Apna Karlo YAAS Bahaanay Bahaany Mein.

~Yaas Yagana Changezi

0 comments: