Jo Dikhaao Bhi Na Daikhoo'n Rukh-E-Pur Hijaab Hargiz


Jo Dikhaao Bhi Na Daikhoo'n Rukh-E-Pur Hijaab Hargiz, 
Ye Wo Aankh Hai Kay Daikha Nahi Jis Nay Khuaab Hargiz.


Meri Kasrat-E-Gunah Ki Koi Had Nahi Rahi Hai,
Na Gham-E-Azaab Mujhko, Na Gham-E-Hisaab Hargiz.

Meri Aah Aatshee'n Hai, K Dimagh-E-Meh'jabe'n Hai,
Ye Baland Aasmaa'n Par Nahi Aaftab Hargiz.

Wo Hai Tera Mushaf-E-Rukh Agar Us Ko Daikh Paayen,
To Ye Kaafir-E-Kitaabi Na Chhuwe'n Kitaab Hargiz.

Agar Aap Mol Laitay To Tameez Tishna Hoti,
Milay Muft Ki Jo Zahid Wo Nahi Sharaab Hargiz.

Na Mizaj-E-Yar Badla Na Mera Naseeb Palta,
Nahi Ay Falak Hamaisha Tujhay Inqlaab Hargiz.

Wo Asar Say Main Dara Hon Ye Duaaei'n Maangta Hon,
Kay Meri Dua Ilaahi Na Ho Mustajaab Hargiz.

Ye Baja Kay Mana' Hoga Ramazaa'n Mein Aab-O-Daana,
Ye Ghazab K Tees Din Tak Na Piye'n Sharaab Hargiz. 

Kabhi DAAGH Toba Ki Hai, Kabhi Phir Sharaab Pi Hai,
Na Azaab Hi Milay Ga, Na Hamein Sawaab Hargiz.

~Daagh Dehlvi

0 comments: