Ulti Ho Gayin Sab Tadbeerein (Full Ghazal)


Ulti Ho Gayin Sab Tadbeerein Kuch Na Dawa Nay Kaam Kiya,
Dekha! Is Beemaari-E-Dil Nay Aakhir Kaam Tammam Kiya.

Ahd-E-Jawaani Ro Ro Kaata, Peiri Mein Li Aankhein Moond,
Yaani Raat Bahut Thay Jaagay, Subh Hui Aaraam Kiya.

Harf Nahi Jaa'n Bakhshi Mein Uski, Khoobi Apni Qismat Ki,
Ham Say Jo Pehlay Keh Bheja So Marnay Ka Paighaam Kiya.

Naa-Haq Ham Majbooron Par Ye Tohmat Hai Mukhtaari Ki,
Chaahtay Hain So Aap Karay Hain, Hamko Abas Badnaam Kiya.

Saaray Rind Obaash Jahaa'n Kay Tujh Say Sujood Mein Rehtay Hain,
Baankay, Tairhay, Tirchhay, Teekhay Sab Ka Tujh Ko Imaam Kiya.

Sarzad Ham Say Bay-Adabi Tou Wahshat Mein Bhi Kam Hi Hui,
Koso'n Us Ki Owr Gaye, Par Sajda Har Har Gaam Kiya.

Kis Ka Ka'ba, Kaisa Qibla, Kon Harm Hai, Kia Ehraam,
Koochay Kay Us Kay Baashindon Nay Sab Ko Yahee'n Say Salaam Kiya.

Sheikh Jo Hai Masjid Mein Nanga Raat Ko Tha May-Khaanay Mein,
Jubba, Khirqa, Kurta, Topi Masti Mein In'aam Kiya.

Kaash Ab Burqa' Mu Say Uthhaa Day, Warna Phir Kia Haasil Hai,
Aankh Munday Par Un Nay Go Deedaar Ko Apnay Aam Kiya.

Yaa'n Kay Supaid-O-Siyah Mein Hamko Dakhl Jo Hai So Itna Hai,
Raat Ko Ro Ro Subh Kiya Yaa Din Ko Joo'n Too'n Shaam Kiya.

Subh Chaman Mein Us Ko Kahee'n Takleef Hawa Lay Aayi Thi,
Rukh Say Gul Ko Mol Liya, Qaamat Say Sarw Ghulaam Kiya.

Saa'ad-E-Seemee'n Dono'n Us Kay Haath Mein Laa Kar Chhorr Diye,
Bhoolay Us Kay Qol-O-Qasam Par Haaye Khayaal-E-Khaam Kiya.

Kaam Huwe Hain Saaray Zaay'e Har Saa'at Ki Samaajat Say,
Istighna Ki Chogni Un Nay, Joo'n Joo'n Mein Ibraam Kiya.

Aisay Aa Huwe Ram-Khurda Ki Wahshat Khoni Mushkil Thi,
Sehr Kiya, E'jaaz Kiya, Jin Logo'n Nay Tujh Ko Raam Kiya.

Mir Kay Deen-O-Maz'hab Ko Ab Poochtay Kia Ho, Un Nay Tou,
Qashqa Khaincha, Dair Mein Baitha, Kab Ka Tark-Islaam Kiya.

~Mir Taqi Mir

0 comments: